Surat na dekhi maine uskiMoorat phir bhi uski banne lagi haiDin ko chain nahi ataAur raato ki neend udne lagi haiLagta hai us se mohabbat hone lagi haiUski yado mein ankho se neer behte hainAb to ankho ko ansu se mohabbat hone lagi hai
Kalam likhna chahti hai, keval tumhare baare meinAur baatein meri kavitaon mein dhalne lagi hainLagta hai us se mohabbat hone lagi haiUski yaado mein ratein guzaar deta hunApni hi baato mein khud ko sawar deta hoonSunsaan raato mein meri baatein gehrayi mein utarne lagi hain
Ab to mere dil ki tanhai mohabbat mein badalne lagi haiLagta hai us se mohabbat hone lagi haiSubah suraj ki roshni bhi adhuri si lagti haiBazaar ki bhari sadakein bhi suni si lagti hainUske aane ki ye ankhein raah takne lagi hainAb to mah bhi salon ki rah takne lagi hai
Lagta hai us se mohabbat hone lagi haiUske chehre ki chamak sadi lagti haiChand pura nikalta hai par raushni adhi lagti haiBarish ki boondein bhi ab mujhe bhigone lagi hainAb to dil ki dhadkan bhi yaado ko pirone lagi haiLagta hai us se mohabbat hone lagi haiAbhi bhi ghar ki chaukhat par uski rah takey baitha hoon
Subah se sham aur sham se subah uski rah mein guzar deta hoonKab aogi ye meri tanhai kehne lagi haiTanhai ki batein dil ko jhuthi lagne lagi hainLagta hai us se mohabbat hone lagi hai
Tags:
POETRY