Bhai ki laaddli hain, or hain har fikkar se anjaan(2),
maa ka sapnaa or hain pitaa ka abhimaan.
per kiya jaante hain aap,
nannhi si in pariyo ki ek daaiiray say baahar kabhi uddaan nahi hoti,
or jitnaa sochte hain ham ladkiyo ki zindagi kabhi asaan nahi hoti.
jannam lete hi, maa inke shadi ke gaihane jutaane lagti hai,
kiya sahi hai kiya galat har baat par samjhane lagti hai.
dekho tum ladki ho apna dhayaan rakhnaa,
zammaan ko baddalna munkin nahi,
isliye kappado ka khaas khayaal rakhna.
suno kissi ki baato me mat aana or kuch bhi galat lage,
to sabse paihalle aakar mujhe bataana.
zammaan ke saath chalnaa inhey beshak shikhaaya jata hai,
par saath hi ek daayaira bhi samjhaya jata hai.
khudki ki hi janmi dunniya me ye khud hi maihefos nhi hoti,
or jitna soochte hai hum..
ladkiyo ki zindagi uttani asaan nahi hoti.
bachpan se hi kabhi roop kabhi rang to kabhi vayavhaar ko lekar toki jaati hain,
tum akele kaise karogi kaha rahogi kaih najaane kitne awo-saro se roki jaati hain.
kaihne ko ladko ke barraabar hai aaj(2),
par mokaa milte hi aakhen inpar seyki jaati hain,
kabhi jannam se paihale to kabhi havas ka shikkaar ban,
phir kudde main phaiki jaati hain.
galttiya kaii nazar-andaaz karti hain be-shak,
par nazarriye se kabhi ye kissi ke anjaan nahi hoti.
or jitnaa sochte hain hum,
ladkiyo ki zindagi uttni asaan nahi hoti.
Ek ghar main bachpan bitaa or dousre me jivan bittaana padtaa hai(2),
maa, bhai, baihan, papa ka pyar maano ek din mai bhullaana padta hai.
ek haat se kaii rishte choote or dousra haat kaii rishto ke liye badhaana padtaa hain,
kaii baar man mille naa mille par ummar bhar har bandhan nibhanaa padta hai.
kissi ek saksh ki khaatir(2),
apni puri zindagi badal leti hain,
phir bhi inki ummar bhar koii alag paihachaan nahi hoti,
or jitnaa sochte hai hum, ladkiyo ki zindagi utni asaan nahi hoti.
baat baat par aankhe inki gili hoti hain(2),
bay vajhaa betuki baato par ye akshar rooti hain,
haa ko naa or naa ko haa kaihti hain,
muh se kuch kahe na kahe par baat saari manvaati hain,
baate ye khudki apne tak rakh nahi paati hai,
bas tujhe bataa rahi hun kissi ko kaihna mat,
kaih fir sabko bataati hain.
aadato me galtiya kaii shumaar hai beshak(2),
par niyat inki kabhi bay-maan nahi hoti,
or jitnaa sochte hai hum,
ladkiyo ki zindagi utni asaan nahi hoti.
saal me saikkado baar(2),
inhe davi banaa puja jaata hai(2),
or phir mahino ke unn dino me najaane kiyu allag socha jata hai,
bohot se rivaaz bane hai indino ke liye,
yu to bohot se rivaaz bane hai indino ke liye,
par afsoos iss dard par kissi ka dhyaan na jata hai.
ladki hai thik se kaam na kar paegi,
kabhi bimaari kabhi family to kabhi kuch or bahaana banaaegi,
bhagvaan ka diya har darrad sar-aankho par,
par zamaane teri ye soch bardaas nahi hoti,
or jitnaa sochte hai hum,
ladkiyo ki zindagi utni asaan nahi hoti.
Thank you for coming