Ab se pehle school jaana itna accha lagta nahi tha,
ya yu kaihlo ki pasand hone ka koi,
karan hi nahhi tha,
ab toh bina kisi jhijhak ke,
subha uth jaaya karta tha main,
aisa seen isse paihle mere saath kabhi,
hua nahi tha.
Class mein pohochte hi 2nd row ki second seat pe,
wo baithi milti thi,
wajha thi woh jo school aane main,
mujhe itni khushi milti thi.
Woh notes exchange karte-karte,
mera dil bhi panno ke saath fisal gaya,
pehle pyar mein kya sakhti dikhaata yar,
sabki tarhaa main bhi pighal gaya.
Ab manzoor nahi tha ki teacher mujhe,
uske saamne daante,
toh zubaan pe lagaam lagaaya maine,
aur kam kardi thodi baatain.
Homework?Assignments time se complete kar leta tha,
jissey woh maange toh haan hi kahu,
aaj kal thoda padhne bhi laga tha main,
ki kal ko koi question uthe toh uska jawaab,
sabse pehle main de saku.
Usse dekh kar bewajha main,
muskuraate raihta tha,
paagalon ki tarha cooridoor main bhi,
haste gaate raihta tha.
Apni 2nd seat se uthke jab meri,
last seat tak ka safar karti thi na wo,
usey doubts hi puchne honge,
main bhi bade itminaan se usse pehle galat,
phir sahi padhaata tha.
kuch badal sa gaya tha main,
ya badal diya gayya tha,
Zindagi ko zindagi kaihne ka,
ek kaaran bhi mil gaya tha.
class main lagbhag saare hi bacche,
paani laate the par main ussi se maangta,
aise hi chalta rahega ya baat,
aage bhi badhegi apni,
filhaal toh abhi nahi jaanta,
baat bhi utni ho hi jaati thi,
jitni honi chahiye thi,
sunday ke din sabko aaraam rehta tha,
par mujhe bechaini thi.
jis din woh aaye toh sama mukkammal lagta tha,
or na aae toh mera waha hona bewajha,
internet pe pick up lines bhi padhi hai maine,
par uske saamne kabhi use kyu nahi kar paaya,
nahi pata.
mere saare dost single the,
par tips aisi dete the jaise kitno ko date kar chuke ho,
mere paas bhi or koi option nahi tha,
toh iss maamle main jo kaih rahe hain woh woh karo.
Unn logon ne idea diya ki ladki ko impress karne ke liye
uski best friend ka dil jiitna sabse important hai,
kyuki sari permission wahi se grant hoti hain,
to agla forcibly mera wahi target hai.
to ab uski best friend "natasha",
ke piiche main bhaaga,
woh dono saath main hi baitthe the to,
baat-cheet badhaana bhi aasaan tha.
Natasha chemistry main kaafi acchi thi,
to notes maang kar hi maine,
usse bhi baat ki shuruaat ki,
yea sab to sirf ek bahaana tha,
chemistry to mujhe bas meri waali ke,
saath bithani thi.
kaafi dino tak phir yun hi chala,
flirting tak main pohoch gaya,
par uski aankhon main mere liye woh,
baat nahi thi,
thoda or wait karna chahiye karu kya?
Rishta to natasha se bhi mera friendly ho gaya tha,
bas friendly hi tha,
haan ya na ka jawaab to dono,
discussion karke hi denge,
to uska bhi dhyaan rakhna zaroori thya na.
Imagine to usko mere saath main,
kabka kar chuka tha,
ek waqt to aisa tha ki lag bhi nahi raha tha,
ki yahan tak bhi pohochunga.
Pehli baar kisi ladki ne aage se,
friendship band baandha tha mujhe,
ab to bas valentines day ke din,
rose ka hi intezaar tha.
Par tab tak to badi der ho jaegi,
mujhe hi thodi jaldi karni hogi,
kya pata wo bhi soch rahi ho ki main paihal karu,
dil main bhi feeling positive hi thi.
Jab kuch samajh nahi aata,
to main dosto se hi salaah leta hoon,
koi na koi tarkiib nikal hi aati hai,
or main bhi tension free hota hoon.
toh waha se ek sujhaav aaya ki,
apni school picnic hone waali hai yaar,
mauka bbi hai dastoor bhi hai,
wahi kar diya izhaar.
Casuals bhi allowed hain,
to zara hero banke jaiyo,
koi bahaana nahi chahiye,
bhabi bana kar hi laiyo.
Maine bhi socha baat toh sahi hai,
aisa mauka phir kaha milega,
kuch badhiya kapde bhi khariid leta hoon,
first impression hi last impression rahega.
Aayine ke saamne main rehearse karna shuru kiya,
woh haa bolegi to main soch bhi nahi paa raha tha,
ki kaise react karunga,
pehla-pehla pyar hai, mil to jayega na?
mera proposal usse, pasand to aaega na?
Ab picnic wala din aaya,
hum chal diya school bus main,
woh khidki ke bahar nazaare dekh rahi thi,
or main sirf dekh raha tha usse.
Mera pyar mere saamne baitha hai,
or main sirf usse mehsoos kar raha hoon,
mere chaihre pe bas ek muskaan chipki hui thi,
koi bata bhi nahi sakta tha andar se main,
kitna darr raha hoon.
Destination pe pohoche hum,
par aaj meri manzil kuch or thi,
thodi der baad ussine aakar mujse kaha,
tumhe ek baat bataani thi.
Maine kaha "same pinsh",
mujhe bhi tumhe kuch bataana hai,
usne bola pehle main bol du?
sab log mera wait kar rahe hain,
Mujhe janaa hai.
Mujhe koi jaldi nahi thi,
or uski baat sunne ke liye to main,
saalo tak intezaar kar sakta tha,
usne bolna shuru kiya par iske alaawa,
woh kuch or bolti na.
main din bhar sunn sakta tha.
Usne bola mujhe nahi pata uski himaat,
kyu nahi hai tumhe bataane ke liye,
"natasha-likes-you-from-the-dirst-day",
jis din tum aae the,
usse chemistry ke notes maangne ke liye.
Usne add-on karte hue kaha ki mera kaam,
to bas tumhe yeh bataane tak ka tha,
ab jo bhi tumhara jawaab ho,
itminaan se please usse bataa dena.
Main shock main tha chup khada,
iska kiya jawaab doon ab?
sawaal toh out of syllabus tha,
Jise impress karne ke liye jiska sahaara liya,
uss sahaare se hi kaam kharaab ho gaya,
phir socha maine kaam to kharaab hona hi tha,
jab yea faaltu idea hi bewakoof dosto ka tha.
Main hasu ki rowun,
mujhe samaj hi nahi aaya,
jiska exam dena hi nahi tha,
ussi main top kar aaya.
Aankhon ke saamne se woh,
dhiire-dhiire khwaab ki parath hatt gayi,
usse paane ke liye uski friend ka sahaara liya,
or ant main ussi ki dost patt gayi.
Ab tumhi batao,
Natasha ko kiya jawab doon?
Thanks for coming😇😊