Jab main unse pehli baar mila tha | Poetry



 Sone ka vakt ho gaya hai,

so jata hun, kal zindagi

ek bahut hi bada din hai."

maine khud se kaha.


na jaane kaise hoga ye sab,

dates & all pe jaana in sab ki

aadat nahi thi mujhe. kaafi

nervous ho raha tha main

unse milne se pehle, lekin

saath hi saath excited bhi

bahut tha...


Ek arsa biit chuka tha humari

baat shuru hue vi, or maine ab

tak bas unhain tasviro mein hi

dekha tha, ab main yuhi to nahi

puri zindagi bita sakta tha,

unhein dur dur se dekh kar.


or waise bhi, kuch special

cheezain hone ke liye efforts

bhi zyada dalne padte hain,

to humne bhi decide kiya ki

hum kal finally milenge or

ek sukoon bharri shaam sang

bitayenge...


yahi kariib 2 baje ka milne

ka plan tha. baat dupeher ki

thi lekin jaise aankhon ke

aagey andhera hi cha raha

tha jo mujhe unke chehre

ke siwa kuch dikhaii nahi

de raha tha..


unki awaaz mere kaano mein

gunj rahi thi jaise mera naam

pukaar rahi ho, behad ishq se.


main waha vakt se paihle

pahuch gaya tha, kyunki

pehle hi din intezaar karau,

ye mujhe gawara nahi tha.


har guzarti car mein main

us chehre ko talaash raha tha,

baar baar apne phone ko dekhta

or lock unlock ka khail khelne lagta.


dhadkanain tez hone lagi jab

ek car mere samne aake ruki,

uska gate khula or koi utra,

wo jo utra tha, wo mera tha,

unhain dekhte hi main jaise

kahi kho sa gaya tha...


thods dilmy sa mahaul tha par

kaano mein mujhe ek hi song

sunayi de raha tha,"thousaand

years" of christina perri.


wo waqt, wo lamha main shayad

laakho croro saalo mein bhi nahi

bhulunga, kyunki wo mujhe

reality kam or ek sapne

jaise zyada lag raha tha.


maine aankhein kholi dobara

or dekha unhein wo bahut

bahut zyada khubsoorat lag

rahi thi yaaaar!!!


ye meri mohabhat nahi,

asliyat bol rahi thi, wo

thi khubsoorat yaar, or

aaj ussey bhi zyada hai.


unki aankhain, unke both,

unki muskaan, sab mein ek

chamak thi, a shine of beauty.


main der na karte hue aagey

bada or unko apna haath diya

muskurate hue, (unki intentions

bhale hi greet karne ki ho, par

meri to un komal haatho ko

mehsus karne ki thi.)


unhone muskura kar "hi" bola

or maine bhi "hi" kaha or

unke liye restro ka door khola

or unain upar le gaya..


waha pahuch ke maine unhain

baithaya and then khud bhi baitha,

kuch der tak to maiin jaise kho

hi gaya ki ye wakayi mein sach hai?


She's right here, or mujhe

yakiin tak nahi ho raha tha,

hum us waqt se guzre the

jab ek dusre se milne ke liye

tarse the, lekin aaj hum hain

saath ek dusre ke saamne..


maine unhain offer kiya ek glass

of water or khud bhi piya kyunki

shayad unse zyada zarurat mujhe thi.


hum logo ne baatain shuru ki,

main sach kahu to baar baar lost

ho raha tha kyunki main unki baato

se zyada dhyaan unpar de raha

tha, main soch raha tha

How beautiful she is.


wo is cheez se baar baar irritate

ho rahi thi ki main sun nahi raha

unhain par sach kahu to mujhe

unse ab pyaar hone laga tha,

kisi ke presence se aaj tak itna

complete mehsus nahi hua tha.


wo unka baat karte karte baalo

ko kaan ke piiche tuck karna,

mujhe dekh kar thoda sharmana,

har ek adaa jaise ghayal kar rahi thi.


main mehsus kar raha tha wo

sab itne mein unhone kaha,

"it's time to leave." or main

aisa ho gaya ki abhi to ayi hho.


itni jaldi kyun jana hai, unhone kaha

4:30 baj gaye anubhav agrawal

maiine watch dekhi to wakayi mein

2.5 ghante ho gaye the baithe hue,

pata hi nahi chala kab vakt nikal gaya.


maine unhain kaha abhi mat

jaiye please, abhi to maine aapko

sunna shuru kiya tha, par kyunki

unhain jana tha ghar.. main

zyada kuch bol na saka.


maine bill pay kiya, thodi si

baihes ke baad, kyunki wo aisi

thi ki mujhe karna hai ye wo,

khair hum uthe or door khol

ke aagey ki ore bade to main

wahi tham gaya.


main unse kuch mangna

chahta tha, wo kuch ghabraii,

unhain samajh nahi aya ki

main kya mang raha hu unse.


maine kaha I want to Hug you,

Unhone mujhe muskura kar

kaha, "I don't hug strangers,"

or mud gayi...


mujhe bura zarrur laga, to maine

kaha, "kya main humesha stranger

hi rehunga aapke liye?"


Unhone fir-se smile ki or kaha,

"ye to vakt batayega."


Us din shayad wo iklauti

aisi cheez thi jiske liye main

tadapta reh gaya, 'Ek Hug.'


hum bahar nikle, unhone cab

book kari apne liye, jab tak wo

nahi aayi maine unka haath pakad

ke rakha, wo nahi chhoda, kyun

chhodu? gale nahi laga sakti

kam se kam haath to pakad

ke rekhiye.


fir jo aayi cab or main aisa

ho gaya ki yaar, ab ye chali jayengi.


main chhodna nahi chahta tha

wo haath, par kya karein, majburi thi,

chhodna bhi pada or jaane bhi dena pada.


wo cab mein baithi or mujhe

piiche mud ke dekhne lagi,

unhone "bye" bola, or maine

unhain hand wave kiya or

jaise hi wo mudi, mera rona

nikal gaya, or aansu ruke

hi nahi maano..


wo cab hum dono ko door

lekar ja rahi thi, bahut door,

maine unhain text kiya,

"I Miss You..."


Bas itni hi....


Thank you for Comming.. 

Post a Comment

Hey Hi Thank you for your interest in this post, please comment and tell us your experience with this post, and recommended us how or what we need to improve with the blog.
Thank you and come Again ❤🙏

Previous Post Next Post