Smajh nahi aata itna sab kuch kaise kahu,
bohot saari baatain karni hai tumse,
mujhe nahi pata yeh himmat,
kab jutta paaunga main,
par ek din zaroor kahunga tumse,
Main bataaunga, tum pehli nazar,
main toh nahi lekin dhire dhire,
itni pasand aa gayi,
ki jitni bhi mohabbat thi mujh main,
woh bina socha samjhe,
saari tum pe hi luta di,
mujhe acchi lagti ho tum,
kyunki baatain hi itni acchi karti ho,
mere khayaal se hat-ti bhi nahi,
pata nahi aisa kya jaadu kar deti ho,
uss din jab pucha tha tumne,
ki yeh kavitaae main kiske liye likhta hoon,
uss waqt sach mein main dilse,
tumhara naam lena chahta tha,
par pata nahi koi cheez thi jisne rok diya,
mujhe kehne se,
unn baaton ko shaayad main tab,
aur gehraayi dena chahta tha,
tumse pyar paane ki ummiid
kabhi ki nahi maine,
bas baatain roz hoti rahe,
utna hi kaafi hai,
Inn choti choti khushiyon mein hi,
bahot khush ho jaata hun main,
tumhara waqt mil jaaye,
phir kya hi maangna baaki hai,
tumhe jo baat pasand nahi,
uske zikre se main door hi rehta hun,
main thoda sa alag hun tumhare bina,
tumhare saath kuch alag rehta hun,
taarif karne se main tumhari,
ruk nahi sakta,
par kuch shikayatain bhi hain mujhe,
kuch baatein tumhaari dard deti hai,
socha bataa dena chahiye tumhe,
kabhi kabhi tum itna khul ke baat karti ho,
ki lagta hai dost se bhi badh kar hun main,
or achaanak hi ek dum aise treat karne lagti ho,
jaise tumhara kuch hun hi nahi main,
tum unhi baaton ka jawaab deti ho,
jo baat tumhe sahi lagti hai,
or unn saari baaton ko ansuna kar deti ho,
jab mujhe tumhari zarurat hoti hai,
khud hi karti ho milne ki baatain,
or bahaane bhi naa milne ke,
khud hi banaati ho,
abhi ek pal pehle hass rahi hogi,
or dusre hi pal pata nahi kaise ruth jaati ho,
main gaur kiya hai iss baat ko,
jab kabhi udaas hoti ho toh udaasi,
bataane ke liye hi mujhse baat karti ho,
kabhi mera mann bhi karta hai ki saamne se,
mera haai bhi pucho,
par shayad apna mann halka karne ke liye hi,
mujhe istemmaal karti ho,
yeh saari baatain mere dil mein jitni bhi hai,
taarifain, shikayatain, mohabhat bhi,
tumse hi hai,
ek din zaroor kahunga tumse,
yeh baatain jo kabse khayaal mein hain,
izhaar bhi karunga shikayat ke saath,
yeh dil bhi bechaara kabse pyaar mein hai,
woh din kab aaega yeh main,
khud bhi janna chahta hun,
kyunki tumhara zikar hone par hi,
sab bhulne jo lag jaata hun,
himmat bhi nahi hoti yeh soch ke,
ki baat aur bigad na jaaye,
darr bhi lagta hai ab intezaar se,
kahin der na ho jae,
uss din ki talaash mein kahin der na ho jae,
Thank you