By Aditya
Ladka:- Na jaane kyu tum mujhe bekrrar karti ho!
chahne se bharri maihfill me saaf inkaar karti ho,
koi zarurat hi nahi tumhe aakar ishaar karne ke,
main jaanta hun tum mujhse hi pyar karti ho,
Ladki:- Main maanti hu, mera ishque ab bhi tujhe be-karrar karta hai,
yeh mera dil tujhe bhulaane se saaf inkaar karta hai,
or tatool ti hun(2)
khaamiyo ko dikha kar ise,
fir bhi na-jaane kyu tuhi se ye pyar karta hai,
Bebaak mohabbat hum unse
Din-raat ye kar baithe hain,
hui gustaakhi nazro se
jazbaat thehar baithe hain,
woh chaand hai us niil-gagan ka
hum dharti ki maati se,
assma ke us chaand ko paane ka
armaan liye baithe hain,
Bebaak mohabbat hum unse
Din-raat ye kar baithe hain,
Jaisi bhi hai woh per meri aadat hai,
chahe jitne zulm dhaye hum per
magar usi se raahat hai,
or chizo ko sanjo kar
rakhna sikha hai humne,
kyu ki chizo ko bikherna
unki aadat hai,
Bebaak mohabbat hum unse
Din-raat ye kar baithe hain,
ke khudko koi hoos na tha
dil main koi roos na tha(2),
yu ishque main fanaa ho kar mitne ka,
humko koi joos na tha,
phir bhi tumul(ash-saanti) is maahol me
hum dil komal kar baithe hai,
Bebaak mohabbat hum unse
Din-raat ye kar baithe hain,
Der nahi lagti :-
Ke taro ko tim-timaate der nahi lagti,
jugnu ko jag-maggaate der nahi lagti,
waqt lagta hai bas tujhe apni
zulfoon ko laihraane main,
meri saaso ko thamte der nahi lagti,
ke suraj ko dhalte der nahi lagti
or baadalo ko machalte der nahi lagti(2),
waqt lagta hai bas tujhe
ek-adaa bataa dene main
mere be-moat mare jaane main, der nahi lagti.
Thank you....