Ek Mulaqaat aisi bhi | Heart Touching Story

By #Anubhav Agrawal



Kaafi dino se humare biich mein

anban chal rahi thi, kabhi main

naaraz rehta, kabhi wo

naaraz rehti,


Ek arsa biit gaya tha ek dusre se pyaar

kare bagair, ek dusre ke sang ek wo

kehte hain na "meningful time"

haan, wo spend kare bagair.


Is subha se ek raat pehle bhi itni ladaiya

hui ki der raat bhi manane mein biti,


Ho hi jaati hain yaar do pyaar karne

walo ke biich ldaiya, misunderstanding,

lekin chahe kitni bhi ladaiya ho jayein,

humari har baat ki, har chiiz ki ek hadd

hai, or hum aaj itne saal baad bhi wo

hadd kabhi dhoke se bhi paar nahi karte,


Or wo hadd ye hai ki, koi fark nahi

padta baat kitni badi hai, ya kitni

gambhir, hum koi raat aisi nahi

guzarenge jisme hum dono puri

raat ke liye nazaaz ho jayein.


Wo har baat usi raat ko hi suljhayi

jayegi or sath me soya jayega,


khair koi nahi, agle din aankh humesha

ki tarah meri der se khuli, or humesha

ki tarha is baar bhi main unke pass der

se hi paucha...


Jab paucha to main muskura raha tha,

laazmi tha, jo insaan late hota hai

wo humesha muskurate hue maafi

mangta hai, or jo intezar karta hai

uska khoon khaulta hai...


Wo daat rahi thi, hum unki daatne

ki adaao ko dekh kar bhi muskura

rahe the...


Phir kya.. ek choti si date thi, chiizain

plan karne ke alas ne hume badnaam

kiya hua tha, ki tum kabhi kuch plan

nahi karte humare liye efforts nahi dalte...


haha.. bas is baar soch liya tha ki

jaan ko niraash nahi karenge hum,


ek bade hi khubsurar restaurant

se din kishuruwaat hui, waha beth

ke humne breakfst kiya.


Or waha se nikal ke hum ek pyaari

si jagha gaye ek dusre pe pyaar ki

baarish karne, wo baarish bhi hui,

pyaar bhi hua, or wo jo tadap

thi ek dure ke sath "pyar bhare

do lamhe guzarne ki, wo puri hui,"


kehte hain na, ek waqat hi aisi chiiz

hoti hai ek dusre ko dene se sab

kuch sahi kar deti hai,


Wo khushi mujhe apni jaan ke chaihre

pe saaf dikh rahi thi, lekin us khushi

ke sath sath bahaut sari bhuk bhi

dikh rahi thi.


Yahi kuch 4 hi baje the ki, humne

ek acha sa restaurent search kiya

or waha ke liye ravaana hue,


Raaste bhar badiya full volume me

music chala ke chiikhte gaate

gun-gunate hum waha pauche,


Badiya luch order kiya, or is laziiz

khaane ke intezaar ke dauraan, hota hai

na kuch mann karna, kuch baatain 

karne ka, 4 sawaal puchne ka,


silsila shuru hua, mere past ki baato se,

kuch biti baatain yaad aa jati hain

kabhi kabhi, bas ye baatain chal hi

rahi thi ki, unhone kaha, apna haath do,


Main bolte bolte do pal thama,

apna haath aagey badhaya or

unke haath mein rakh diya,


unhoone bade hi pyaar se mujhse kaha,

"promise karo"


Or maine unki baat ka mann rakhte 

or bharosa karte hue kaih diya

"promise"


Phir unhone haule se mujhse kaha,

"promise karo ki aap mujhse

humesha pyaar karogey?"


Maine kaha "I Promise"


Phir unhone kaha,

"humesha mera stand loge, mujhe

kabhi akela chhod ke nahi jaaogey."


Maine kaha "I Promise"


Phir unhone kaha,

"Mujhe kabhi cheat nahi karogey"

yaha maine $ bar promise kiya.


us waqt, us lamhe ke darmyaa mujhe

ek baat badi saf saf samajh aagayi,


har baat ko kaihne ka, ek waqt,

ek mahaul hota hai, or jab wo usi waqt

or mahaul me ho to uski ehmiyat

lakh guna badh jaati hai,


Phir, gale se uper tak per bhar ke

humne waha se chekout kiya,


socha tha humiske baad kahi or

bhi jayenge lekin afsos, himmat na hui,

waha se nikal ke car bethe,or decide

kiya ki, ab finally ghar drop kardo,


jaise dulhan ki vidayi par wo bahul ke

siine par sar rakh ke roti hai, usi tarha

ye mohtarma bhi emotional ho gayi,

or kuch aansu nikal aaye ankho se,


hota hai, jab kafi dino baad app apne

pyar se milo or bahaut khubsurat

din bitaane ke baad dur jana pade,


Aankhain namm ho hi jaati hain.


4 ghante ka safar tay karna tha,

nikal pade apne safar par,

bahaut saari baatain

or yaadain lekar.


Bus.. aisa hi kuch tha, WO DIN...



Thank you.....

Post a Comment

Hey Hi Thank you for your interest in this post, please comment and tell us your experience with this post, and recommended us how or what we need to improve with the blog.
Thank you and come Again ❤🙏

Previous Post Next Post