Jab Pyar Beshumaar Hai Phir kyu Shadi Se Inkaar Hai | Poetry

By #rachna rajasthani


ki woh alhad adaaye meri(2)

woh meri nadaaniya,

woh sab sharaarte meri,

woh meri manmaani,

woh serious baat pe hasna mera,

woh haste-haste rona mera,

woh be-panha pyar karna mera,

woh be-wajha ladna mera(2),


woh be-baki se baat karna mera(2),

woh bin-matlab akadna mera,

woh modern dresses paihanna mera,

ban-than raihna savarna mera,


Tu khaita tha, inhi sab baato ne

dil chura liya,

ke tu spne dekta hai mere raato me(2),

tu kaihta tha, mere bin tu raih na payga

jo main na mili to mar jayga,

to jaana, jab pyar beshumaar hai

phir kyu shadi se inkaar hai,


ki kal-tak jo adaaye lubhati thi tujhe

aaj unhi adaaon se tujhe inkaar hai(2),

ke tu pyaar to bohot karta hai mujhse,

par shadi ke liye nhi lagte tujhe

sahi mere sanskaar hai,


kal tak, jis modern ladki ko dek

dosto ke saamne itraata tha tu,

OE BHABI HAI TERI...

bool unki nazre jhukaata tha tu,


ki aaj wahi modern ladki

tere ghar walo ki najro me bekaar hai,

ki ghar, riste, zime-daariya nahi sambhaal paungi main,


ki shadi ke liye

tujhe kisi gharelu ladki ki darkaar hai,

phir bhi main pyar pe sawaal na uthau tere(2),

kyu ki pyar ab bhi tu karta besumaar hai,

to jaana, jab pyar beshumaar hai

phir kyu shadi se inkaar hai,


ki ye jaat-paat,

ye kudliyo ka millan,

ye duniya dari(2),

kya ho gya hai tumhe?

kal-tak to baymaani thi ye baate saari,


us waqt kudlya na milwaii tumne,

na maa-papa ki yaad dilaaii tumne,

jab milne mujhse aate the,

mujhe dek-dek muskaate the,

toanfo ki dukaan lagaate the,

mere dosto pe imprassion jamaate the,

bass pyar-pyar ki ratt lagaate the,


nahi aata hai kuch to main siikh jaaungi(2),

kya chahiye tu bool, main karke dikhaaungi,


yu bahaane na banaa, na baihla mujhe(2),

yu achaanak meri khamiya, na ginwa mujhe,

are main tujhe pasand hu apni pasand pe

aitbaar to kar(2),

jiit lungi sabka man, ek moka to de,

apni mohabbat par upkaar to kar,


pyar karta hai agar to har chunoti shuwikaar kar,

yu bekaar ki baato se na mohabbat ko sarmsaar kar,


jo bhar chalaa hai man, to nazre mila or bool(2),

yu Riti-riwaaz, samaaj ki aad me na waar kar,


thaam ke haat tu kaihta tha(2),

tujhe pyar hai beshumaar hai,

to jaana, jab pyar beshumaar hai

phir kyu shadi se inkaar hai,



Thank you...….

Post a Comment

Hey Hi Thank you for your interest in this post, please comment and tell us your experience with this post, and recommended us how or what we need to improve with the blog.
Thank you and come Again ❤🙏

Previous Post Next Post