Tumne kaha tha ham ek hain | Hindi Poetry

 




Tumne kaha tha ham ek hain
to apne baraabr kar do na

nappy jab main badalti hu
tum dud ki bottel bhar do na 

bus yu hi ek hai ek hai kaihke 
kaha zindagi chalti hai
kabhi tum bhi sir dabba do mera
ye bhi kamiya khalti hai

jab main  bhi office jaati hun
tum bhi ghar ko savaar do na
tumne kaha tha ham ek hain
to apne baraabr kar do na

mat karo vaade janmo ke
iis pal kushi ki vajai do na
kabhi bazzaro se dhaiyan hate
to makaan ko ghar bhi kardo na

aao pass baitho mere
kuch baate kare
kabhi dil ke jakham bhi bhar do na
kiyu kaihna bhi padta hai ye
tum aihasaso ko samjho na
tumne kaha tha ham ek hain
to apne baraabr kar do na



Thank you

Post a Comment

Hey Hi Thank you for your interest in this post, please comment and tell us your experience with this post, and recommended us how or what we need to improve with the blog.
Thank you and come Again ❤🙏

Previous Post Next Post