By #Kirti_Chauhan
Jhoot hai ki usse yaad hun main,
iss bahaane se hi ajaad hun main.
Rivaayat hai apne jakhm sabko gaihare lagte hai(2),
mujko sunne wale aaj mujhi ko baihre lagte hain.
Or jo mohabbat par wisvaas ke kisse sunaate hain(2),
wo mohabbat jaanti hai uspe sakk ke kitne paihre lagte hain.
aap sabhi ne ek baat suni hogi ki ek aadmi se uski salary or ek aurat se uski ummar or ek toote dl wale se uska haal nahi puchna chahiye, lekin kuch log hote hai jo kaihte hai "or sunao" to unke jawaab me likhaa hai...
Kya sunae!
haal sunae,
khayaal sunae,
ya sunae haalat tumhe,(2)
Khudko thik bataae
Accha bataae,
bura bataae
ya bataae jazbaat tumhe,
Din jo raat bataae,
raat jo din bataae,
woh saath nahi
ab ye bataae,
ab isse jaada
or kya bataae...
Chood jaane ki wajha bataae,
ya saath ko uske kazaa bataae,
zaihen main chappe woh daag dikhae,
ab isse khul kar or kiya bataae,
Us par likkhi wo nazam sunaae
ya uski jhooti kassam ginaae
usse sikha tumhe bataae
aao baat ghumaana tumhe sikhae,
jaan tha woh tumhe ye bataae
ya jisam par uska name dikhae
kaafi hai ya or sunae,
ya aankho se ab aansu girrae.
Khud ko girra kar rishta baccha rahe the hum
mohabbat usey bhi hai khud ko bataa rahe the hum.
laot aega waapas to lipat kar roenge dono,
khud se fareb bakhubi nibha rahe the hum.
Khaas jarurat nahi thi usko meri(2)
phir bhi bin bulaae hi waapas ja rahe the hum,
uska zeekar hua to kissa suna rahe the hum,
us kisse me bhi unhe apna bataa rahe the hum,
Waqt raihte khud ko ayena dikha rahe the hum,
kaagaz par name likh unka khud hi mitta rahe the hum.
usse meri tarha labzo me pyaar jataana nahi aata,
main ruth jaun agar to usse manaana nahi aata,
chupaata bohot kuch hai, usse bataana nahi aata.
saalo baad bhi usse tarikhe bhulaana nahi aata,
tang bohot karta hain maggar usse sataana nahi aata,
daant bhale hi de maggar usse rulaana nahi aata,
uske paas raihti hum to shaihzadi si rakta hai,
bat-tammizi to door usse TU Kehkar bulaana nahi aata,
ladka or ladki jab relation start karte hai tab bohot se kasme vaade karte hai, but jab vahi kasme vaade pure nahi kar paate.
Saath raihne ke saode me khushiya
dao par lagi thi
par fesla to yahi kiya tha ki
khushi mile ya gum
hum samhaal lenge(2)
Jab baate bigdengi or raate rooj jagdengi
jab khunnas sar be chaii hogi
or tumhe pataa hoga ab ladaaii hogi
hum sumhaal lenge.
jab uska male Ego aade aane lagega,
or mera attitude thoda jaada bhaao khane laggega
hum samhaal lenge.
to kab aya woh moad,
jab rishto ke saode me usey munaafa kam lagne laga
or usne bas keh diya ki ab baat mat karna mujse,
or phir baat hui nahi.
Na kabhi usne zid ki
or na kabhi maine paihal ki
to main bhi tute hue dil wale ashik
ki tarha khudko samjhaana suru kar diya.
wo kya hai na ki tasaliya maihfuz rakte hai irrade,
kyu ki na-kaam hona kisko manjur hai.
ek samaye aya jab tasaliya saath chodne lagi thi,
or yaad waapas mudne lagi thi,
jab usse sikaayat kam thi or parwah jaada,
Jab woh galat thoda kam tha,
or mera pighalta sa man tha,
jab aansuo ke pass bahaana tha,
or mujhe bas waapas jaana tha,
Tab sawaalo ki diwaaro ke biich
kaid paati thi main khud ko,
chaahti thi ki ek baar in diwaro ko
girra kar wo mujse puche ki thik ho tum,
or main badle main Na keh dun,
par jaise hi main khudko rota hua paati
to woh sawaal bhi mere khayaal ki tarhaa
sawaalo ki diwaaro ke nicche dab jate,
Baat kahaa bigdi
ye sawaal nahi maihez
ye ek baihas ka mudda tha,
jispar roz ghanto mera dil or dimaag
lammbi.. baihas karte the,
or thak jate to kaihte sahyad tab,
jab saath raihne ke saode me khushiya
dao par lagaaii thi....
Thank You............