WOMEN'S DAY SPECIAL
Naari Hai Woh / poetry by Tanmay Gor
Do Share With your Mother, Sister, Wife And Every Female Friends.
Naari Hai Woh / poetry by Tanmay Gor
Kabhi Maa, Kabhi Beti, Kabhi Bahen
Kabhi Patni Bankar Tumhe Milti Hai Wo.
Khud Taklif Me Rahe Chahe Magar,
Hasi Charo Or Bikherti Hai Wo
Hain Ek Naari Hai Wo
Har Kisi Maa Baap Ke Nasib Me Beti Nahi Hoti,
Koi Bhagyavan Hota Hai jiske Ghar Me Khelti Hai Wo.
samay ke saath apna kirdaar bhi badal leti hai,
hasti muskurati kisi bhal ki chhoti bahen hai
to kisi papa ki ladli beti hai wo.
Kisi bete ki maa hai wo,
kyu phir bhi bhot kuch sehti achamba hai wo.
Khud jiti nahi jiti dusro ke liye sreaam hai wo,
kisi pati ke liye uska phela pyaar,
kisi baap ke sar ka ghuman hai wo
Ek Andheray bhare jivan ki jalti chingaari hai wo,
kitaabo jaisi samaj se bhari padi almari hai vo,
wo tumhe rukne nahi degi kabhi bhi
ek Ansari(supporter) hai wo,
Yeh jante hue bhi ke western
phenna use pasand hai,
Apne sasural me kurti pehnti
bahu sanskari hai wo.
Apni Saheliya uski zindgi hai,
isi liye dil se thodi bachakaani (childish) hai wo,
APne Maike Me raani banke rehti
apni sasural ki maharani hai wo.
Agar dil toda uska to mafi zrur mangna,
dikhti waise to meethee chashni hai wo.
deepak se kam kyu aanke hum use,
andhere me dikhti chand ki roshni hai wo.
Kabhi Maa, Kabhi Beti, Kabhi Bahen
Kabhi Patni Bankar Tumhe Milti Hai Wo.
Khud Taklif Me Rahe Chahe Magar,
Hasi Charo Or Bikherti Hai Wo
hain
Hain Ek Naari Hai Wo
Tags:
POETRY